Sham Meri Kamzori Hai
Sham Meri Kamzori Hai (Roman Urdu) mat pūchh ye mujh se dost mire kyuuñ shaam Dhale in āñkhoñ meñ be-nām sī ek udāsī kī ghanghor ghaTā.eñ rahtī haiñ kyuuñ be-ḳhud ho kar is lamhe Dhaltā huā sūraj taktā huuñ āñkhoñ meñ kisī kā aks liye kyuuñ badan kitābeñ taktā huuñ mat pūchh ye vaqt hī aisā hai mujhe dil par zor nahīñ rahtā maiñ laakh chhupātā huuñ lekin ashkoñ ko rok nahīñ saktā ik qarz chukāne kī ḳhātir ye kuchh lamhoñ kī chorī hai bas yūñhī samajh le yaar mire ye shaam mirī kamzorī hai Urdu شام میری کمزوری ہے مت پوچھ یہ مجھ سے دوست مرے ک یوں شام ڈھلے ان آنکھوں میں بے نام سی ایک اداسی کی گھنگھور گھٹائیں رہتی ہیں کیوں بے خود ہو کر اس لمحے ڈھلتا ہوا سورج تکتا ہوں آنکھوں میں کسی کا عکس لیے کیوں بند کتابیں کرتا ہوں مت پوچھ یہ وقت ہی ایسا ہے مجھے دل پر زور نہیں رہتا میں لاکھ چھپاتا ہوں لیکن اشکوں کو روک نہیں سکتا اک قرض چکانے کی خاطر یہ کچھ لمحوں کی چوری ہے بس یوں ہی سمجھ لے یار مرے یہ شام مری کمزوری ہے ( شکیل جاذب ) Shakeel Jazib